Sunday, October 21, 2018

Mobile Ko Root Kaise Kare Isse Kya Fayda Hai

Mobile Ko Kaise Root Kare
Janiye Rooting Ke Bare Me.
Kuchh Din Se Mai Bahut Paresaan Tha Apni Design Ko Lekar Kyoki Mujhe Apne Blog Ke
Theme Me Har Cheej Fully Chahna Tha Lekin Aaj Mai Blogging Ka Topic Nahi Android Se Sambandhit Topic Lekar Aaay Hai Apne Customization Ka Naam Suna Hi Hoga Ki Kaise Mobile Ko Customized Aur Root Kare Is Cheej Ki Info Mai Main Points Ki Jankari Dunga.

Mobile Root Kya Hai?

Aamtaurpar Root Sabd Ko Hindi Me Jad Kahte Hai Aur Isse Aap Samajh Hi Sakte Hai Ki Kisi Cheej Ke Jad Me

Pahuch Jaaya Jay To Use Kisi Bhi Tarah Customized aur Control Kar Sakte Hai Kyoki Kisi Cheej Ka Main

Uski Jade Hoti Hai Theek Isi Tarah Phone Ko Root Kar Diya Jaay To Use Kisi Bhi Tarah Customized Kar Sakte Hai Aur Apne Man Ke Mutabik User Interface Set Kar Sakte Hai. Iska

Doosra Matlab Hota Mobile Ke 'Device Administration' Ko Unlock Karna Hai.
*Beautiful Launchers Android Ke Liye

1. Mobile Rooting Se Kya Fayda Hai?

Jaise Ki Maine Upar Btaaya Ki Kisi Jad Me Pahuchh Jaya Jaay To Use Man Mutabik Bigaad Aur Bana Sakte Hai Iske Benefits Mai Thode Chhote Points Me Dunga.

Customizable-: Apka Phone Asaani Se Apke Mutabik Customized Ho Jaayga Aap Agar Apne Kisi Bhi

System Ka Color Jaise Status Bar Ka Color Change Karna Chahe To Kar Sakte Hai Jaisa Chahe Vaisa Bana Sakte Hai.

Latest Android Version-: Mobile Ko Root Karne Ka Sabse Bada Faayda Hota Hai Ki Android ko Kisi Bhi

Tarah Ke Android Version Me Change Kar Sakte Hai. Agar Apke

 Phone Me Latest Android Ka Update Nahi Aaya Aur Aap Soch Rahe Ho

Mobile Ko Latest Banane Ka To Aap Rooting Ke Jariye Ye Work Easily Kar Sakte Ho.

Fix Issue-: Agar Apke Phone Me Koi Bhi Aisa Bug Hai Ya Koi Error Jaise Ham RAM Ka Issue Lele To RAM Ko

Kuchh Had Tak Badhaya Ja Sakta Hai Ya Aise App Ko Band Kar Sakte

Hai Jo Apke RAM Ko Force Karta Hai Vo Bhi Bina Uninstall aur Disable Kiye.
*Best Do Cleaner Apps For Android

2. Mobile Rooting Se Disadvantage Hai?

Jaisa Ki Maine Upar Bataaya Ki Kisi Cheej Ka Root Mil Jaay To Use Kisi Bhi Tarah Control Kar Sakte Hai

Par Ye Bhi Baat Right Hai Ki Root Me Weak Point Bhi Hota Hai Root Se Bana Bhi Sakte Hai Aur Root Se

Bigad Ya Kharaab Kar Sakte Hai Iske Kuchh Khatre Ke Chances Hai Jo Rooting Ke Baad Ho Sakte Hai.

Virus and Malware-: Rooting Yani Mobile Ke Administration Ko Unlock Hona Hai Yani Viruses Ke Liye

Rasta Bhi Unlock Ho Jaata Hai Aur Yaha Se Apko Safety Ka Dhyaan Rakhna

Hoga Ki Koi Aisa Harmful App Na Use Kare Jisse Virus Aa Jaay App Ko Download Karne Se Pahle Check

Karle Ki Vo Play Store Se Verified Hai Ya Nhi Aur Uske Review Jaroor Read Kare.

Cracked-: Rooting Ke Baad Koi Guarantee Nahi Hai Ki Kab Apke Device Ka Software Damage

 Ho Jaay Ek Baar Root Hone Ke Baad Apka Phone Kabhibhi

Kharaab Ho Sakta Hai Ya Dibba Ke Baraabar Ho Sakta Hai.

Loss Warranty-: Jab Apka Phone Ka Device Administration Unlock Hota Hai To Apke Phone Ki

Warranty Bhi Ud Jaati Hai Aur Warranty Udne Ki Baad Phone Ka Discount ya Free Me

Banna Band Ho Jata Hai Aur Full Charges Lagne Lagte Ha.
*Read it Your Phones Fastly and Smooth How?

3. Rooting Me Security Kaise Rakhe?

Agar Apka Phone Pahle Se Root Hai Ya Root Karne Ja Rahe Hai To Kuchh Bato Ka Dhyaan Rakhe Mai Neeche Root Security Tips Dunga.

1. Agar Apka Phone Root Nahi Hai To Pahle Apne Phone Ka

Warranty Khatam Hone De Uske Baad Root Kare.

2. Root Karne Ke Baad Super SU Jaise Apps Faltu Me

Root Permission Nahi Dete Hai Apke Bagair isiliye Soch Samajh Ke Permission De.

3. Root Karne Se Pahle Ya Abhi Apne Phone Poora All Data

Backup Lele Computer Ya PC me Taki Koi Problem Aay To Turant Restore Kar Le

4. Kisi Bhi Faltu Me Extra Secure Dene Ke Chakkar Me Faltu Ke Apps Na Download Kare.

5. Security Apke Hath Me Hai Isiliye Har Cheej Soch Samajh Ke Kare.
*2G equal to 4G Best Tips

4. Mobile Ko Root Kaise Kare?

Ab Mai Bataunga Ki Mobile Ko Kaise Root Karte Hai Bahut Easy Steps Hai.

1. Bahut Sare Apps Hai Root Karne Ke Liye Jaise Kingoroot App PC Me Download Karle.

2. Phone Ko Connect Kare aur USB Debugging Enable Karle.

Agar USB Debugging Ka Option Nahi Hai To Aap Developer Option Se Enable Kare waha Option Hoga.

3. Ab Jab Phone Connect Ho Jaay To Jo Desktop Me Root Karne Wala App Install Hai To Usse Root Karle.

4. Finally Ab Apka Phone Root Ho Chuka Hai Ab Carefully Rahe Achche Se Phone Ko Use Kare.
*Developer Option Kya Hai? Ise Kaise Unlock Kare

5. My Finally Words.

Maine Bhi Kai Baar Phone Ko Root Kiya Jab Pahli Baar Phone Ko Root Kiya Tha Tab Phone Kharaab bhi hua Tha Par Kuchh Sawdhaniya Hai Jisse Phone Bach Sakta Hai Rooting Ke Dauraan Maje Lete Rahiye Aur Sabko Ye Information Share Karte Rahiye.
Happy Working!

No comments:

Post a Comment

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You