Friday, May 17, 2019

Google Search Console Se Content Ko Kaise Remove Kare

How To Remove Content from Google Search Console
Google Search Se Content
ko Kaise Remove Kare.


Old post ka kya hota he?

Hello guyz agar aap blogging karte hai to usme post ya articles to jaroor likhte honge. Fir baad me use search engine me lane ke liye usko search console me dakte hoge. Agar maanlo future me us post ko apne delete kar diya hai to blogger me to delete ho jayga par kya search console se delete hoga? Aaj ham yahi bataayenge google search console se post kaise delete kare.


Google search console me post delete kare.

Dosto agar aap google search console me post delete karoge tabhi hi search engine yani google se post delete hogi. To pata isse kai sare fayde hai. Maine bhi kuchh posts ko google me se delete kar diya kyoki maine unke permalink badle the. Aur agar na delete karta to mujhe isse nuksaan hota. So aap tab bhi post ko remove ya delete kar sakte hai jab aap post me kuch changes kiye ho.

Benefits-: 

1. Old content delete ho jaata hai.

2. Search me jo 404 issue hota hai vo fix ho jati hai.

3. Search me koi effect nahi padta.

4. Search engine me apka blog good quality me rahta hai.

5. Post me change karne par old link remove ho jati hai.

Google search console se post ko delete or remove kaise kare?

Google me se post delete karna bahut easy hai. Old wala tareeka thoda alag tha jo mai aaj ki post me delete karne ka tareeka bata raha hu vo alag he.to chaliye steps ki or badhte hai.

1. First step me apko google search console ke remove outdated content par jaaye.

2. Waha ek box hoga uss post ka poora link dale jis post ko ya article ko aap remove karna chahte hai.

3. Link dalne ke baad request removal par click kare.

4. Ab ek popup window show hoga jaha likha rahega thank you for your submission likha rahega. Ok par click kare..

5. Finally apki request pending me hogi kuchh ghante ya days me apka post google se remove kar diya jayga.

Final words.

Google se post ko remove karna bada hi easy hota hai. Isse jo issue hote hai theek ho jate hai. Mere khyaal se ye information apko acchi lagi hogi to ise sabhi bloggers tak share kare. Mai bhi is information ko dhoond hi raha tha akhir me mujhe mil hi gaya. Aur aap logo bata bhi diya. To friends jo bhi apko remove karna hai search engine se use isi method se remove kar sakte hai.bye friends.


No comments:

Post a Comment

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You