Tuesday, May 28, 2019

Blogger Me Last Update or Last Modified Date Kaise Enable Kare

Enable Last Update In Blogger
How to Enable Last Update
in Blogger


Blogger Me Last Update Or Last Modified Date Kaise Enable Kare

WordPress Me Last Update Karna Bahut Easy Hai But Blogger Me Hard Bhi Nahi Hai To Chaliye Jante Hai Ki Kaise Enable Kare Blogger Me.

Why last update date is important?

Hello friends. Jab aap post likhte hai to kya kabhi ye socha hai ki usme date show ho rahi hai ki nahi. Aaj ham ise related jankari janenge. Kai bar post ko users ke liye ya search engine ke liye date jaroori hoti hai. Jisme last update aur last modified date aham hissa hai. To aaj ham janenge blogger me last update ya last modified date kaise enable kare. Sath hi me yeh bhi janiye ki blog ki speed kese increase kre.



Last update or modified date

Apke blogger ke liye ye bahut hi jaroori hota hai. Maan ligiye apne post ko 9 july ko android ke bare me likha hai aur 2 month baad android ne us topic me kuchh badlav kiye hai. To apko bhi us post ko update karna hoga. Ab ap us post ko edit karke usko usme kuchh likhoge jo update hua hoga lekin date vohi rahegi. Aur isse apko koi fayda nahi hoga kyoki vohi old date rahne se users bhi sochega ki apne post ko update nahi kiya hai. Ya latest post nahi likhi hai. Isiliye last update important hota hai. Isse users janenge ki ye article latest hai aur vo apke blog me us article ko padhna like karenge.


Benefits-: 
1. Search rank and value badhegi.
2. Traffic increase hogi kyoki log recent topics jyada pasand karte hai.
3. Old posts ko log kam dekhte hai par present ya kuchh din pahle ya update ko log jyada like karte hai.
4. Post update ke sath old post present post me badal jayga.

Blogger me last update or last modified date kaise enable kare.

Wordpress me last update karna bahut easy hai but blogger me hard bhi nahi hai to chaliye jante hai ki kaise enable kare blogger me.


Screenshot Of Set Last Update
Bas 1 2 3 Aur Last Update
Ready.



1. Simple method

1. Go to blogger dashboard.

2. Posts me jakar kisi post ko edit kariye.

3. Published on par click kare date update kar le.

Now done. Apne post ko update kar liya hai par abhi bhi last update show nahi kar raha to apko doosra method use karna padega.


2. Enable last update or last modified date.


Ab yaha apko kuchh theme me change karna hoga so step ki or ate hai.

1. Edit your template.

2. Search- date or published on or posted on or post date. Inme se kisi ek ko search kare.

3. Aur inme se jo bhi apke blog me search ho to usme apko last update likhna hoga.

Now done. Completely apne agar iske baad bhi apke blog me last update ya fir last modified date na show kare to method 2 use kar sakte hai.


Method- 2-: 

1. Edit your blogger theme and search <data:post.dateheader/>

2. Ab code ko iss code se replace karde
Last updated: <data:post.dateheader/>

3. Done and save your blogger theme.

Final words

Upar ke jitne bhi step the bahut hi simple the. I hope apko ye post samajh aa gyi hogi. Ye information shayad hi bloggers ko pata ho to unke sath jaroor share kare. Taki vo bhi ye baat jan sake. Agr aapko technology releted kuch aur janna he to daily hmare blog pe visit kare. Tb tk ke liye good bye.


2 comments:

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You