Saturday, May 18, 2019

Mobile Me Data Kaise Save Kare Top 3 Methods and Tips



How to save data

Data related problems

Chaahe jo country ho log aajkal internet khoob use karte hai. Bahut se log hai chahte hai internet ki speed tej ho par ye nahi chahte ki unka data jaldi khatam ho jaay kyoki apne india me ya kahi aur bhi garib people honge jo data bahut hi mehnat se paise earning karke reacharge karwate hai.
Ho sakta hai ye post apke lie bahut jaroori ho to aaj bataunga android mobile me cellular data ya mobile data kaise save kare. Jo wifi use karte hai unke liye bhi ye trick kafi useful hogi kyoki wi-fi me bhi data waste hota hai. Agr aapka android version bohot kam he to aapko jarur janana chahiye ki low ram mobile phones me konse apps acche he.


Data waste kyu hota hai?

Data waste hone ka  sabse main region hai background apps chalna bhale hi ap ek hi app use karte ho lekin background me bahut sare apps chalte rahte hai yani run karte rahte hai aur isi karan background wale app data access karte hai. Aur isi karan ek nahi 5 se 6 apps data access karte hai bhale aap 1 hi app use kare aur isi karan extra data lagta hai jisse data waste hota hai.




1. Data save karne se kya fayda hai?

Data save  karne se sabse bada benefit ye ha ki apke paise ki bachat hoti hai. Dosto data save karne ke kai tarah  ke faayde hai. Mai apko aaj three mehods bataunga ki kaise data ki bachat kare. Vaise baat ati faydo ki to mai apko short me samjhata hu.

1. Paise ki bachat hoti hai.
2. Data longtime tak chalta hai.
3. Fijool kharch nahi hota hai.
4. Emergency me data lene ki jaroorat nahi hoti hai.

2. Isse hone wala nuksaan?

Isse apko fayda hi hai koi nuksaan nahi hai. Jaisa ki maine apko upar bataya ki isse apko benefit hi hai. Bhala isse apko disadvantage kyu hoga! Jyada se jyada apko ek app download karna hoga uske liye maximum 10 mb kharch karna hoga. Aur vo bhi tisre mehod ke liye.


Data kaise save kare? ( method- 1)

Doston ab is post ka main point. Ab mai apko kuchh steps bataunga jo apko follow karne hai. Isme apko background ke apps band karna bataya jayga.

1. Setting me jaay.
2. Apps me jay.
3. Running me jaay.
4. Force stop all apps kar diijiye.

Awosome iss method ko agar aap use karenge isse bhi data save hota hai. Matlab agar aap sab apps force stop karte hai to kuchh apps background band ho jate, jisse apka extra data nahi lagta.


Data kaise save kare? (method- 2)

Ye ek best  method hai jisme koi bhi app install karne ki jaroorat hoti aur na hi apps ko close karne ki jaroorat hoti hai isme thode steps bhi jo ki bahut hi easy hai. Yeh method sabse asaan hai aap ise jaroor follow kare.

1. Setting me jaay.
2. Data usage me jaay.
3. Three points par click kare.
4. Restrict background data.
5. Click ok.

Now done.iss method  ke bare me samjhane ki jaroorat nahi hai. Kyoki iseme aap samajh hi gaye honge ki isme background apps chal kar bhi data access nahi kar pate. Kyuki data restrict rahta hai. Yani background apps ke liye data block rahta hai. Only vo app data access kar payga jise aap use kar rahe ho. Ya jo app apke screen me maujood hoga.


Data kaise save kare? (method- 3)

Iss method me apko ek app ki jaroorat padegi. Apne opera ka naam suna hi hoga uska browser bhi ata hai and usi company ka data  save karne wala ek tool bhi ata hai neeche apko batata hu.

1. Play store me jaay 'opera max' download kare.
2. App ko open kare ek icon dikhayi dega uspe click kare.


Aur ye complete ab jo bhi app aap open karenge vo to chalega hi sath hi background apps ke liye pop-ups bhi ayenge aur apko ye tool batayga ki kuchh apps data access kar rahe hai aur unke liye option bhi dikhyga ki allow karna chahte hai ki nahi.

Note-> ye teeno method ek sath try na kare warna trick work nahi karegi.


My opinion

Maine ye trick kafi sare research ke baad apko bataai hai aapko ye information doston ke sath share karni chahiye aur sabko batani chahiye ye trick taki sabki bachat ho hamare is post ko sare social media me sahre kare.



No comments:

Post a Comment

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You