Tuesday, May 14, 2019

Internet Ki Speed Kyu Slow Hoti Hai Speed Increase Karne Ke Liye 7 Tips

How To Increase Internet Speed - Edited Image
Internet Ki Speed Increase Kare.

Internet speed

Bhale hi ham chahe kitna bhi high quality ka phone le aay lekin jab tak achcha network na raha to vo phone dabba hi rah jata hai. Agr aapko andoird phone me desktop browsing krna he to ye wala article jrur pdhe jo aapke liye likha gya he. Abhi kuchh din pehale mujhse ek sawaal poochha gaya tha 'sir ye bataiye internet ki speed slow hai mai kaise network ko badhau ya internet speed increase karu?'. Maine usse yahi kaha ki mai agle article me iska jawaab jaroor dunga aur badhiya achche tips bhi dunga.

Internet speed kyu slow hoti hai?

Aapne dekha hoga ki jab aap new phone buy karte hai to usme jo network ya jo bhi aap operator use karte hai uski speed badhiya rahti hai par samay ke sath network speed slow hone lagti hai. Unka main karan hai mobile me kuchh aisi activities hona ya background dwara network access kiye jane karan net speed slow ho jati he.



How to increase internet speed

1. Don't keep too many apps

Kuchh log aise hote hai jo phone ko poora store hi bana lete hai aur unme bohot sare apps use karte hai. Ye bhi ek main karan hai ki itne apps kyu use ho rahe he. Agar jyada apps rahenge to sabhi apps lagbhag data access karte hai to isi karan mobile me network speed slow rahti hai. Issiliye mai apko suggest karunga ki aap jyaada high-tech apps na use kare. Aur agr aap chahte he ki apne mobile me data save kre to ye wala article jrur pdhe.

2. Clear cache

Agar aap jaroori apps bhi use karte hai lekin uske baad bhi speed slow to ho sakta hai. Apps me kuchh problem ho jisse speed slow ho jati hai. Apps me kuchh kharaab file jo hoti hai joki networks ko rokti hai vo delete ho jati hai. App ka cache clear krne ke liye niche diye step ko follow kare.
1. Goto setting.
2. Choose apps option.
3. Choose app .
4. Click clear cach data.

3. Don't use many browsers

Agar aap alag- alag browsers ke hai shaukeen to attention ho jaiye kyoki kuchh harmful browsers bhi hote hai. Agar aap aise browsers ka use karte hai to unhe turant hi uninstall kar de. Kyoki in browsers me aap browsing karte ho magar background me ye apps kuchh aur activities karte rahte hai. Kuchh browsers apni popularity ke liye networks block karte dalte hai aur khud ke liye speed tej karte hai. Lekin kabhi kabhaar kuchh gadbadi se vo poora network hi block dete hai jisse net speed slow ho jati hai. Mai apko suggest karunga ki in browsers ka use kare -google chrome,opera mini and puffin browser.ye browsers apke liye safe hai aur speed bhi badhia dete hai.


4. Update your phone regularly

Doston kabhi- kabhi apke phone me old software ke karan network speed slow ho jati he. Kyoki jo mobile incoming network rahta hai vo software par bhi depend karta hai ki kitna access kar pata hai. Aur hardware par bhi us hardware ke hosaab se agar software na update hoga to vo to svabhaavik hai ki apke phone ki network slow hogi isiliye. Mai kahunga aapse ki apna phone time to time update kare.

5. Update your all apps

Jahan tak update wali baat hai vo apps par bhi depend karta hai. Kyonki naye ghar me purane taur tareeke ane wale generation me peecche rahte hai. Theek usi tarah apka phone bhi agar aap old apps use kar rahe hai to use google play store se update kar le  kyoki jo old apps hote hai vo network me rahne ke bajaay apne updates ke liye jyada force karte hai aur running karte wakt massage bhi apko dete hai. Isiliye speed slow rahti hai kyoki un massage me apka data access ho raha hai naki uss app me. Isiliye aap apne phone ke sath- sath sabhi apps ko bhi update kare.

6. Complain your service provider

Kabhi- kabhi jo service provider hote hai vo network set karte samay kuchh places ko bhool jate hai ya unke monitor me aisa kuchh show hota hai ki network badhiya batata hai par asal me baat kuchh aur hoti hai. To aap apne service provider ko call kare aur unse bole ki hame network me dikkat a rahi. Ho sakta hai vo apki kuchh help kare.

7. Choose better service operator

Sabse jaroori baat aap jaha rahte hai ya jis place par shift he to waha check karle ki kiss company ka network sahi se aa raha hai. Jis jagah me rahte hai waha ke aas pas ke logo se jankaari le aur pata kare ki yaha kaun se service operator ka network sabse badhiya ata hai phir uske hisaab se sim le.

My final words

Iss article ko kafi information ke baad hi likha shayad uski ye problem solve ho jaygi jisne mere se question kiya tha aur sath me unki bhi ye samasya solve ho jaygi jo slow network se paresaan hai mai age aur bhi interesting facts and tips information leke aunga tab tak aap is post ko share kare.


No comments:

Post a Comment

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You