Thursday, May 16, 2019

Google Ke 5 Best Apps Jo Apko Achche Lagenge

Google Topic Ke Liye Best Apps
Google Apps Apke Liye.

Google and their apps


Google ek bahut badi company hai. Maine apni kuchh post me google ke bare me charcha bhi ki hai but thoda hi ki hai. Mai google ki poori history to nahi bata sakta hu kyuki usme bohot  time lag skta he but isse kuchh related bate apko mai jaroor bataunga yani google ke kuchh important apps. Lekin isse pahle thodi information jaan lete hai.

In google apps se apko kya fyda hoga?

Agar aap apne phone par behtar experience pana chahte hai to google se achcha koi nahi hai. Kyoki sabse most important baat ye he ki google ne hi android ko banaya hai. Aaj google ke badaulat android teji se increase ho raha hai aur knowledge ka best base bhi ban chuka. Agr aapko google me kuch interest he to aapko android go kya he ye padhne me jarur maja aayega.so ab start karte hai aur jante hai ki kaun se apps hai jo best hai.

Top 5 apps from officially google

1. Datally.

Shayad apne iss app ka naam suna ho savings ki baat kare to ye app kamal hai ye hamara data save karta hai. Yani ham kah sakte hai ki ye kuchh had tak firewall ki tarah kaam karta hai. Ye kuchh opera max data saver apps ki tarah kaam karta hai. 




Datally mai bhi use kar raha hu aur iska best result bhi mila hai. Datally ko aap playstore se direct download kr skte he. Mai iske kuchh features apko list me batata hu.

1. Unknown apps ko data access karne se block karta hai.
2. Data ko save karta hai.
3. Ram me force nahi karta hai.

2. Google drive.

Ye bahut hi achcha app hai ya kahe to apke memory ko save rakhne wala app hai. Mai bhi iss app ko istemaal kar raha hu. Google drive kuchh mobiles me system me pehle se mil jata hai. Iss app ki khas baat yah ki aap isme jo bhi video ya photo dalenge vo hamesha usi me save rakhega. 



Ye ek online storage jo ki 15 gb ki storage provide karti hai. Google drive me maine 5 saal pahle apni pic dali thi aaj bhi vo available hai jabki mobile storage se delete ho gyi hai. Aap google drive ko playstore se bhi download kr skte he ya fir aapke mobile me pehle se hi google drive inbuilt mil jata he.

3. Google duo.

Ye bhi kaafi popular app he. Isme apko chating ke alawa video calling feature bhi milega. Google duo ek beat video calling app hai jo ki slow network me me bhi chal jata he. Aur ye app har network par optimize kar deta hai yahi iska sabse khaas feature he.



 Aapko agar ye app download karna hai to aap google play store se hi download kar skte he ya fir jyada tar mobiles me ye app inbuilt aajati he.

4. Google translate.

Bahut sare log alag tarha ki dictionary download kiye rahte hai jo utni achchi nahi hoti. But kuchh badhiya bhi hoti hai par google translate apko alag hi experience dega. Ye kisi bhi bhasha ke words ko translate kar sakta hai. 



hamare hitlogstar ke survey me paya gaya ki google words ke bare me hi nahi balki kuchh sentence ke bhi translate kar sakta hai. Vaise ye jankari bahut pahle a gyi thi but sabko prove karne ke liye hitlogstar ko ye survey karna pada. Ye chhota survey tha.

5. Google allo.

Ye bhi lag bhag google duo ki tarah hi hai. Isme sabse khaas baat yah hai ki aapko yaha par google assistant feature milega. Chahe jo bhi mobile ho aur aap to google assistant ke bare me jante hi hoge. 



Allo me apko massaging bhi milta hai jo ui ke look ko behtar aur achcha banata hai. Agr aap chaho to google allo ko playstore se download kr skte he.

My opinion.

At ant me roj kuch na kuchh bolta hu hamari iss article ko logo tak pahuchaay taki sabko ye khabar mil sake to ye tha hamara aaj ka ye topic mana ye post chhoti hai par fir bhi aap ise share kare aur ho saka hai age aur bhi latest post lekar aay apke liye.


No comments:

Post a Comment

1. If There is a Question in Your Mind Then Definitely ask by Commenting Here.
2. You use Hindi or English Language.
3. Don't Spam Here.
4. Don't Share any Link Or Website Here
Thank You